Monday, 14 April 2014

jin makano ki diwaro k, kuch hisse tutte ho samjho waha k logo k dillo me, ikhtelafat hai..or ye aap ne akshar dekha hoga, jaha pita k marne k baad beate apas me ek dushre se duri banate hai or iss duri k darmeya,ghar ki koi diwar adhuri rah Jaye ya koi diwar GHAR k aangan ke beach ka hissa ho to aksar  adhura chod dete ,sabse pahle uss diwar par barshati lagti hai,fir dimak fir ek do eint girti girti diwar tuttati jaati ,ye to hamare ghar k halat hai,aise halat muhhle shahar or mulko me bhi hum aaise haalat dekh sakte hai.aafganishtan bulichishtan Iran Iraq,na jane kitne aaise mulk hai Jo aaisi dashta aaisi kahani apne itihash me samete hue hai..mera mulk bhi iss se achuta nahi hai.humane apne sahar ko apne gaon k haalat dekhte hai..wo shahar aabad nazar aata hai,jaha k log mil k rahte hai,unn gaon mohalle me khushahli nazar aati hai,jin sahro me ekta dikhti hai ya fir khuch sonch ek jaisi ho,jaise delhi or mumbai ko hi dekh le,delhi me logo ki ek sonch iss sahar ko khubshurat banati hai or ye somch hai bahar se aai unn logo ki kaam ki chah sab ki sonch hum sab chahte hai k hum sab dur se aai hai paisa kamayenge trakki karenge..hum sab iss sahar me khuch banne ,khuch pane k liye iss sahar me aaiye.. or ye sahar ki trakki ka rashta bana gaya,agar hum sab mil kar ek sonch nahi bana sakte k humara mulk tarakki kar sake iss k liye humari sonch ka ek hona jaroori hai,sonch na hogi Kai diware khadi ho jaegi ,majhab jaat ki diwar.. jo humare desh ko tukkdo me bantengi, fir humari beech apni diware sharhad kidiwar kamjor hojegi.. isse koi dimakk or khandahr hone se bachana hai.to hume akta ki pawar ko samjhna hoga, hum unity pe bachpan me wo kahani suni hogi.. Ek kishan tha jiske   bate thaye, pita k marne se pahle hi APAs me jadad k liye ladne lage, pita ne sabko bula k samjhane k liye lakdi ka gatthar magaya.. Ye kahani sab suni par amal kisi ne nahi kiya.. Iss gayan se wahi halat hoti hai..shikari aaye ga jal bichyga...or hum sab fir netao k jaal fash jate hai humara gayan kaam nahi aata.. Ek iss gayan par k deke sayad halat desh k or honge. Ek dusre ka haal jane dusre ki madat ki Jaye.